What is seo
what is seo marketing seo kya hai dosto seo ko laker mere bahut se dosto ko confusion hai aaj me usi confision ko door karne ki koshish karooga. Dosto seo ko search engine optimization kahate hai . jab tak kii website ya blog ka seo nahi karte hai tab tak vo website search nahi aati hai. Aur ye {seo} ek aisa process hota hai. Jiski madad se hum apne blog ko google,bing,ask jaise famus search engine me rank karte hai.maine apni pichhali post me seo metatags ke baare me bataya tha. Vo bhi seo kahi ek part hai. Aur search engine optimization me chhoti-chhoti bahut si activity aati hai. Jinko agar hau sahi tarise apne blog me apply kar de to hamara traffic bade hi jabardust trike se increase hota hai. Aur hum seo ke dwara search engines ko ye batate hai ki hamari is example[xyz.blogspot.com] me kis-kis se related post dalte hai to google ko bhi website ko index karne me aasani hoti hai. Maine aksar dekha hai aise bahut se blogger ya website ke malik hai jinki website raaton-raat google ke 1st page par show hoti hai.aisa kyo hota hai. To iska jabab ye hai ki vo log apni website ko badhe hi achchhe tarike se seo karte hai.
SEO[ search engine optimization kyo jaroori hai.]
search engine optimization
Dosto aaj ki is digital world me online business bahut hi tezi se apna prabhaw jama raha hai. Aur agar kisi company ko apna business tezi badhana hai to use apni khud ki website ko launch karna hoga. Aaj ke yug me aisi bahut si company hai jo apni wensite ke jariye apna business chala rahi hai hai. Jaise amazon,flipcart,paytm,ebay aur bhi kai companies hai. ab aap soch rahe honge ki website ke liye seo ki kya jaroorat hai. to me apko bata du agar ko companywebsite ka seo nahi karwayegi to unki website par visitors nahi aayege aur unka business bhi progress nahi kar payega.
Yaha apke man me ek sawal aur uth raha hoga ki hamari to koi company nahi hai to hume website ki kya jaroorat hai. to friends hamari company hona koi jaroori nahi hai aaj google par karodon websites hai jo bina kisi business ya company ke lakho $ per month earn kar rah hai. bo kaise to me apko batata hu ki agar apko logo ko koi new knowladge dekar bhi lakho rupaye kama sakte hai. aur ha website ko bahut se log paiso se banabate hai . lakin mene apni pichhali ek post me free website create kanre ka post dala hai. sabse pahale aap log ek blog banao use rank me lao fir doman name purchage kar lo. Use achchhe tarike se search engine me optimization kar le agar aap log kahoge to me seo ki poora tutorial launga.
Types of seo –
Dosto hum do tarah ke seo ki baat karenge jo duniya ke har success blogger,website holder use karte hai.
v On page seo
v Off page seo
On – page search engine optimization [ SEO ]
Doto ye kisi bhi website ka sabse most kaam hota hai. aur ye sabse mahtwapoorn topik hai. iska matalab ye hota hai ki apni website ko search engine niyamo ke hisab se shutable banana . ON-Page SEO me blog ko edit karke aisa banate hai ki koi bbhi search engine use Asani read kar le kyoki Kabhi Kabhi aisa bhi hota hai ki hum website to bana dete hai but seo ka dhyan nahi dete hai to web site rank me nahi aati hai. template bhi seo friendly honi chahiye aur aur website ya blog ko mobile friendly bhi hona chahiye kyoki aaj smart phone lo lo jyada use karte hai. agar apki website mobile friendly hogi to hume traffic jyada milega.
On-page seo ke kuchh important tips.
Ø Website ka title- kisi blog ya website ko fast rank karwane ke liye Title bahut jaroori hota hai isliye hume aisa title choose karna chahiye ki google use asani se rank kar sake aur readers bhi use yaad rakh sake. Hamara title maximum 70 words ka ho sakta hai. but me aapse kahunga hi bhale apka titletags 70 words ka nahi ho fir bhi website ko rank kara sakte hai apke title me 1-2 keywords hone chahiye.
Ø Meta tags discription- meta discription se hum search engine ko ye batate hai hamari website ya blog ka topic kya hai. jisse related app readers ko knowladge dena chahte ho. Jaise – education, science, computer etc.
Ø Website ki loading speed- dosto ye to aap janate hi hone ki jab koi website 1-2 second me opne ho jati hai hamara data kam kharch hota hai , aur readers bhi us website ko jyada pasand karte hai.
Ø Title tags- kisi bhi website ka face ya chehara uska title hota hai aur title jitna seo friendly aur optimize hoga to vo site jyada popular hoti hai. isliye hume title tage dalte samay hume 2-3 high ranking ke keywords jaroor hone chahiye.
Ø Hindden post – kabhi –kabhi new blogger pages me apni post likh dete hai but bad vo us post ko hide kar dete hai jisse website ki ranking down hoti hai. aisa naa kare. Post ko post me hai likhe.
Ø Permalink ya post ka url- dosto hamari post url bhi seo friendly hona chahiye jaise - https://onlyhindigk.blogspot.in/2018/02/seo-metatags-kya-hai
Ø Keyword ko bold type kare- app jis keyword se apni post ko rank karana chahate us particular word ko thoda bold karde taki google ko aasani ho sake.
Ø Responsive- website banaye- dosto kabhi-kabhi new blogger website to bana dete hai but bo ye dhyan nahi dete ki unki website responsive hai ya nahi . matalab aisi website jo samartphone aur pc screen ke liye responsive ho kyoki aaj world me 80% se jayada log android,blackberry ke user hai jisse hame jyada traffic milne ke chance hote hai. ab aap ye soch rahe honge ki ye responsive kya hai to dosto ye kisi bhi website ka vo format hai jo desktop aur mobile screen ke hisab se apna size adjest kar leti ho.
Ø Internal link- apni website ya blog ki kisi post se sambndhit link add karna jaisa ki apna bahut si website me dekha hoga meri aap jis post ko aap padh rahe hai usme mene 3-4 internal link add kiye hai. ab iska benefit kya hota hai . friends isse apki post kafi intrasting aur use full ho jati hai isse apke readers ko bar-bar dusare page par nahi jana padta hai. aur ek post me only 4-5 internal link use kare.
Ø Post ki length- ek success blogger hona hai to apko apni posts ki length[lambayi] par focus dena chahiye isse fayada kya hai to suno apki post jitani lambi hogi ap utna hi apne readers ko jyada samajhane safal honge. Aur lambi post hum 10 keywords use kar sakenge jo apki post ko sabse jayada rank layenge.
Ø Note- apki post minimum 1000 words se kam nahi honi chahiye.
Ø Sitemap – sitemap kya hota hai . dosto jis website ka site bahut achchhe se ban gaya to vo website google/bing/ask/duckduckgo jaise search engine sabse fast rank karti hai aaj kal bahut si websites hai jo free aur paid online sitemap bana deti hai use hame template ke html me paste kar do bas apka kaam katham. Sitemap kisi website ka roadmap ya format[dhancha] hota hai. jisse google/bing search engine ko apki website ya blog ke structure ya dhanche ko bhi analyze karta . blog ke liya google webmaster me crawler sitemap.xml isi ko bing webmaster bhi mangta hai agar kisi search engine ki ye sitemap app manually bhi de sakte hai aur isi se google hamari website ki sabho post ko index kar deta hai.
Off page SEO full detail
Off page seo me hum kuchh alag se janege. Baise off page seo me backlinks,facebook,google+,twitter,instagarm jaise platform ka sahara liya jata hai.
Ø Sabse pahale hume apni website ya blog ko sabhi search engines me submit karna chahiye, for example- google,bing,msn,ask,alexa,alltheweb,lycos.Agar aap mujhe comment karenge to aise 25 se 30 search engines ki post lunga jisse apko traffic bahut jaldi increase hoga.
Ø Directory submit./backlink- apko jabse jyada dhyan backlink par dena chahiye kyoki jis website ki backlink jitani jyada achchhi hogi us website ki ranking utani hi achchhi hogi. Viasearch,dmoz,nalinpatiletc.
Ø Social media facebook – par apna page create kare aur vahase bhi apko bahut jyada traffic milega.
Ø Google+ or twitter- ye duniya ka sabse bada platform he yaha par aap bade – badhe groups join kare aur yaha par apni posts ko share kare.
Ø Blog commenting karna- dusro ki website par commenting jaroo kare baha se bhi hame bahu sa organic traffic mi jata hai.
Ø Join quora question answer platform- yaha par aap logo se sawal-jabakr sakte hai aur yaha se poori duniya se traffic mil jata hai
Dosto apko meri ye post kaisi lagi . hume comment karke jaroor bataye aur mene post comment section me ek new comment box add kiya jisme aap apni website ka url dal sakte hai jisse apko backlink milega.
Fir milenge thanks