Namaskar friends how are you? I t think you are fit & fine. Aaj main apke liye bahut hi senstive aur importante post likh raha hu. Aaj duniya jyadatar person online earning karte hai, fir bo chahe youtube ho ya blogger, adsense, bing, admobe, media.net etc.
Apko ye to pata hai ki google ya bing ye duniya ke bade search engines hai jo sabse popular advertiser bhi hai . log uni ads ko searve karke online earning karte hai. jab payment ko apne bank account main transfer kiya jata hai to vo direct hamare bank account me anhi aata hai. google payment ko hamare khate me send karne ke liye bank ki kuchh detail mangata hai jaise ifsc code,MICR code,bsr code etc.
Ab sawal ye aata he swift code ki jaroort kyo padati hai. apne bahut se bade blogger aur youtubers dekhe honge jinhone international bank se apne account me paise receive ya send kiye hone. Aur hame swift code ki tab jaroorat padti jab ham dusri country ki bank se payment receive karte hai. jiske liye indian bank ke ham jaise logo ko mahino chakkar katane padte hai isliye aaj me iska bahut achchha solution laya hu. Aapko bas is post ko dhyan se read karna hi. Agar jara si bhi galati hui to apka paisa dusre bank send kar diya jayega.
- apko apne local bank ke bare ye pata kare ki uska swift code hai ya nahi uske baad agar nahi to ham dusre bank ka code bhi dalne ka option google deta hai but code usi bank ka hona chahiye--- jaise agar apka a/c sbi me hai aur us branch ka swift code nahi to sabse najdeek ke dusre sbi branch ka code dal sakte hai kisi dusre bank pnb,ubi,cananra bank ka nahi.
- iski jankari aap apne bank ke costumer care number se call karke bhi pata kar sakte hai.
Or agar aap ek blogger hai or Adsense ke ads apne blog me laga kar paise earn karte hai to aap jab adsense se apni earning apne bank account me receive karna chahate hai to apko swift code ki jaroorat padegi. ise me aap swift code find karne ke liye apni bank ke baar-baar chakkar nahi lagane pade isliye ye post apke liye bahut helpful hogi . ab ghar baithe online apne mobile/pc/laptop se bhi pata kar sakte hai.
Apni bank ke swift code kaise pata kare
iske liye apko bas kuchh step follow karne jinko mai neeche step by step batane wala hu. isliye aap is post bade dhyan se poora padhe.
Swift Code Kya Hai ? Iska Use Kya Hai ?
agar aap ek blogger/youtuber hai ya fir freelancer hai to aap jaror kisi dusre person ke account se apne account me paise receive karte honge.
Ya fir apne bank code ke liye bahut parshani uthani padi hogi
Ya fir aap ek doosre person ke bank account me paise receive kiye honge.
India me paise transfer karne ke liye aapko jyadatar apke bank account number, bank ka naam, or IFSC Code ki hi jaroort padti hai. IFSC code national level ka ek bank code hota hai jo sabi bank ka apna ek unique code hota hai. Ye code aapko bank ki passbook me bhi mil jaata hai. Is code ka use karke aap badi aasani se india ki ek bank se dusri bank me paise transfer ya receive kar sakte hai.
Lekin agar baat dusre deshki bank (international bank) ki kare to international bank se paise receive karne ya paise send karne ke liye hame SWIFT Code ki jaroorat padti hai. SWIFT Code (Society for Worldwide Interbank Financial Tele communication)
Jis tarah se indian bank IFSC Code ka use karke aasani se ek dusre bank me paise transfer kar sakte hai. Bilkul usi tarah International bank ka bhi ek unique code hota hai jiski help se International bank aasani se ek bank se doosri bank me paise transfer kar sakte hai.
Google Adsense/admob/youtube/media.net ki earning ko bhi direct apne bank account me receive karne ke liye hame apne Google Adsense Account me Payment Holder ki account details or usi bank ka Swift Code bhi fill karna bahut important hota hai.
Kisi bank ka SWIFT code kaise online find kare
Sabse pahle aap ye pata jaroor kar le ki aapke bank ka Swift Code hai ya nhi kyonki India me lagbhag Sabhi banks ka IFSC Code to hota hai but SWIFT Code nahi hota hai. Isliye aapko ye pahale se pata kar lena chahiye ki apki bank ka Swift Code hai bhi ya nahi then aap is tricks ko use karke apne bank ka Swift Code Pata kar lena chahiye.
Neeche mene kuchh steps diye aap unko follow kijiye
STEP-1:
Google me Search karke apne Bank Ka SWIFT Code Pata Kare
Sabse pahle aap apne androin/tablate ya laptop yaPC inme se kisi me bhi apna Browser open karle. Or uske baad Browser me google search box me type kare – bank ka name >branch>swift code aur search par click kar de
Ab jo google search results me first link hai us link par click kare ab jo page open hoga usme aapko aapke bank ka Swift Code Pata chal jaayega but us bank ki branch SWIFT CODE hai.
STEP – 2-:
Yaha par apko SWIFT CODE par click karna hai. fir apna country select karna hai. apki koi bhi country ho yaha mene india select kiya hai. kyoki mujhe india ki sbi bank ka code chahiye.
Country par click karte hi ek form khul jayega jaha apko kuchh information fill karni hai.
Ab ye sab Fill karne ke baad Automatically aapke saamne aapke bank ki details open ho jaayegi jisme aapka SWIFT Code bhi hoga. Aap niche Screenshot dekh sakte hai.
Ab apkois post se related koi bhi questions ho . use aap comment karke bata sakte hai mai apki poori help karne ki koshish karoonga. Friends agar apko ye jaankari achchhi lagi ho aur apki thodi sib hi help mili ho to is post apne friends ke sath jaroor share kare. Aur bhi nayi post ke liye aap hamare blog ko subscribe bhi kar le. Taki hamari new post jankari aap tak sabse pahale mil sake.
Thanks for reading and visiting
Country par click karte hi ek form khul jayega jaha apko kuchh information fill karni hai.
- Select Your Bank/Institution Name (Apni bank ka naam select kare)
- Apna State Select kare.
- Apni City Select kare jaha aapka bank account hai.
- Ab apna Branch Select kare jo bhi aapki bank branch hai.
Ab apkois post se related koi bhi questions ho . use aap comment karke bata sakte hai mai apki poori help karne ki koshish karoonga. Friends agar apko ye jaankari achchhi lagi ho aur apki thodi sib hi help mili ho to is post apne friends ke sath jaroor share kare. Aur bhi nayi post ke liye aap hamare blog ko subscribe bhi kar le. Taki hamari new post jankari aap tak sabse pahale mil sake.
Thanks for reading and visiting
No comments:
Post a Comment